Monday 9 July 2012

Dil ki kashti


Dil ki kashti

Mere dil ki gehraiyon me
doooooooor kisi kone me
duniya ki najron se bacha ke
band darwajon me chhupa ke
hai ek chhota sa raaz daba hua
jane kab, kis se khafa hua
batlana main sabko chahun
par chabi tak na jaa paoon
koi khol de dil ke taale ko
aajaad kare mann matwale ko
dil jhoom jara nache-gaaye
lafz aankhon se gar beh jaaye
har bandhan aaj mera toote
koi naya raag mann me foote
ho soch nayi, ho pyaas nayi
jeevan jeene ki aas nayi
aur hawaon me bhi ho
ek nayi taazgi, barsaat nayi
ud jaun main is nabh ke paar
kalpanao ke main pankh pasaar
jeevan-mrityu ke is majhdaar
me khushiyon ke dhoondun pal char
haste-gaate beete har pal
jeene ka lun andaaj badal
har pal me masti poori ho
na khwaish koi adhoori ho
chahe meri har saans, har dhadkan
      ho mere FUNeral me bhi FUN . . .