Friday 21 September 2012

Jab baat dil me koi nahi . . .


       Jab baat dil me koi nahi . . .

Aankhein hain nam kyun
jab baat dil me koi nahi
neend hai aajkal kam kyun
      jab baat dil me koi nahi . . .

sapne bhi to hain jaali
baatein bhi khali khali
dard dil me hai utha kyun
      jab baat dil me koi nahi . . .

na din ka pata, na main janu raat
mujhme na rahi wo purani baat
har pal, har chhan main marta kyun
      jab baat dil me koi nahi . . .

ghar-parivar, dost-yaar rishtedaar
sabse hi main kat gaya hun
kitne tukdo me bat gaya hun
mere khwab bhi dhundhle ho rahe kyun
      jab baat dil me koi nahi . . .

gum ho gayi jindagi kahin
na jane kya karna chahun
ek pal hasna, rona chahun
ek pal jeena, marna chahun
na jane hai khushiyan kam kyun
      jab baat dil me koi nahi . . .

dil ki hi to hardam sunta hun
dil se hi main sab kuchh karta hun
par dheere-dheere, haule-haule
dil ki main na ab sun pata hun
dil se main na kuchh kar pata hun
dil apna hi lagta paraya kyun
      jab baat dil me koi nahi . . .